lamha lamha zindagi ka battor raha hai
bikhri hui duniya ko battor raha hai........
khwab jo kabhi pure nahi ho sakte
aaj un tute khawab ko jor raha hai..........
geeli aankhon ke behte paani se
apne hi daman ko kar sharabor raha hai...........
Kitne hi rahon pe phoolon pe chal
aaj kaaton se muh mor raha hai...........
Kalam ki siayi khatam hone par
katre ke lie dil nichor raha hai..............
"kamal" kuch hi pal ki to hai zindagi
to aaj maut ko kyon kar door raha hai...........
No comments:
Post a Comment